Monday, March 15, 2010
"Mera mann....!"
I don’t know abt others “mann”…bt ye mann toh definitely mera hai….!
Ye jo baavra sa mann hai..
Ise jitna mile , utna kam hai…!!
Iski ichchhaye hamesha badhti..
Ek ke baad ek, fir do..teen…
Jaane kitni chaale chalti…
Iski ichchhaye hamesha badhti…!!
Bhagvaan ka diya , charo aur hai..
Fir bhi ..ye dil maange more hai..!
Thoda sa ..bas thoda sa aur mil jaaye..
Mann ki khwahishe ..kabhi na kam hai..!
Ye jo baavra sa mann hai…!
Kabhi raah se bhatkata ye.
Kabhi manjil tak pahuchata ye..
Kabhi khud se he anjaana mera mann hai…
Ise jitna mile utna kam hai…!
Kabhi sabse saccha dost hai..
Kabhi sabse pakka dushman hai..
Ye jo baavra sa mann hai..
Isse thodi si anban hai…!!
Kabhi meri baat na mane ye..
Meri he dhadkan na pehchaane hai..!
Ohhfo …jaane kaisa ye hamdam hai…
Ye jo baavra sa mann hai…!!!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
ye jo baavra sa tera mann hai,
ReplyDeletehumaari dil ki dhadhkan hai.....
beautiful words, and luved d line,
"Bhagvaan ka diya , charo aur hai..
Fir bhi ..ye dil maange more hai..!"
Keep writing :)
thnxx once again....... ,u r d one who always comment 1st widout saying..luv u yaar..
ReplyDelete"koi pyaar kare toh aise kare...tum jaise ho vaise kare.."
luv u......tc
oh ho ye do pyaare seniors kuch b likhe to post ban jata hai..hehehe.. well mam vry nice lines...
ReplyDeletesach kaha aapne baavra mann...