its always ME, MYSELF,MY PROBLEMS, MY DESTINY, MY BADLUCK...we never think out of this "my world"phenomenon...yeah v nvr do...!!
v believe that "humse jyada is duniya me koi dukhi nahi"...,"saare k saare dukh bhagvan ne hamare khate me dal diye".., "y god is doin dis with me"..
apni probs itni badi lagti hai ki..apna saara gussa ..all d anger v put on our destiny..
but just for a minute ...kya hamne kabhi socha hai ki iss itni badi duniya me kuch aise log bhi hai jo raat ko bhookhe sone pe majboor hai, kuch aise bhi hai jo kabhi school nahi ja pate, jinke paas koi ghar nahi hai...noo v never thought..
hamare liye toh ham hi sabse bade dukhi hai..
hame toh khush hona chaahiye ki hamare paas kitna kuch hai,
hum se bhi kahi jyada dukhi log are present in this world.soo b hpy for wht u hav...
hum khudse bade logo ko dekh kar dukhi hote hai...but khud se neecho ko dekhne pe hi pata chalta hai..ki wht v have.
thank.. god for the gifts he has given us....!!
n always remember that...
"duniya me kitna gam hai...mera gam kitna kam hai"...!!
kisi ko jindgi ki hasrat hai..
kisi ko khushiyo ki chahat hai..
koi kismat ka maara hai
toh kahi bichadne ka matam hai.
mera gam kitna kam hai...!
apni jholi sada khali lagi
khuda ka khudse apnapan kam laga..
par yaha aasuo se bheega sabhi ka daaman hai.
mera gam kitna kam hai..!
apne sare sapne adhure lage..
ummed lagi chhoti..
ghar yaha aise bhi hai ..
jaha nahi hai roti.
haalato ka maara unka mann hai..
mera gam kitna kam hai..!
sab kuch hote hue bhi hame kam lagta hai..
doosro ka jeevan aasaan lagta hai..
har koi lad raha hai yaha..
aankh sabhi ki nam hai..
mera gam kitna kam hai..!
gajab yaar
ReplyDeletetruely a gr8 writing nd a motivation towards life
hats off!!!!!!!
Simply superb, great thought n very well expressed, aapke iss jazbe ko salaam....
ReplyDeleteKeep inspiring :)
thanx both of u..:)
ReplyDeletegr88 wrk !!
ReplyDeletesuperb poem
keep writing